Tib e Imam Raza a.s

Aik shaks Imam Ali Raza AS k paas aya aur kaha jab mein bahar jata hun to dusrey muqamat ka paani meri sehet pe bura asar krta hai.Imam ne mashwara dya: Apni jaga ka paani aik burtan men saath le jao aur usey khali na hone do. Jb is men thora sa paani baqi bach jaey to doosri jaga ka paani is men mila lya jaey. Is tarah tmhari jaga k paani k asraat akhir waqt tk baqi rahen gey chahey is men 50 mukhtalif muqamat ka paani kyon na milaya jaey

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 10

Jo chahta hai k us k naakhun na phaten aur bud soorat na hon isey cahiye k siwaey jumiraat k aur kisi din naakhun na katwaey.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 24

Jo shaks chahey k us k kaan mein kabhi dard na ho usey chahiye k sotey waqt kaan mein rooee rakh liya karey

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 24

Jo shaks chahey k usey sardi mein zukam na ho wo 3 chamchey shehed rozana pi liya karey. Nargis k phoolon ko soonghney se bhi zukam nahi hoga.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 24

Jo shaks chahey k is ka badan halka phulka rahey aur ziada motapa na charhey aur buht gosht na barhey isey chahiye k raat ka khana kam kardey

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 24

Jo shaks chahey k usey naaf ki shikayat na ho isey chahiye k jab sir men tail daaley naaf men bhi laga lya karey

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 24

Jis shaks ko ye manzoor ho k us k kaan na bahen usey chahiye k jab koi meethi cheez khaey sirkey se ghararey kar lya karey

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 25

Jo shks yarqan se bachna chahey usey chahiye k garmi k mosam mein jab kisi makan ka darwaza kholey to forun is mein daakhil na ho aur sardi k mosam mein jab kisi bund makan ka darwaza khuley to forun bahar na nikley.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 25

jo shaks ye chahey k us k daant kharab na hon isey chahiye k meethi cheez khaney se pehley roti ka rookha tukra kha lya karey

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 25

Yaad rakhna k maidey mein aik waqt mein andey aur machli jama na hon. Kyon k jab insan mein in ka ijtama hota hai to qolanj, bawaseer aur daarh ka dard paida hota hai.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 26

Ziada andey khaney sey mun par chayan paida ho jaati hain.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 26

Jin gosht aur machlion mein namak laga kar sukha diya jata hai in ka khana khujli paida karta hai.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 26

Bharey pait hamam jaaney se qolanj paida hota hai aur Machli kha kar thandey paani se ghusal karney se faalij paida hota hai

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 27

Doraan-e-ayaam-e-haiz aurat se jama (sex) karney se aulaad mein marz e jazaam(korh) paida hota hai. Jamaa k forun baad peeshaab na karney se pathri paida hojati hai. Jama k baad ghusal kiay baghair doosri martaba jama karney se aulaad main junoon paida hojata hai.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 27

Neem barasht (half fried or boiled) andey khaaney se dama paida hota hai.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 27

Shikaari chopaayon (animal having 4 legs) ya gaaey (cow) ka gosht ziada khaaney se aqal mein fatoor paida hota hai, zehen bhadda ho jaata hai aur bhool paida ho jaati hai.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 27

Hazrat Ali AS ne farmaya: Mujhey Rasul Allah (S.A.W) ne bataya hai k “Aik din aik martaba khana khaya karo aur doosrey din do martaba (2 din mein 3 martaba) aur khana is andaaz se ho k na kum na ziada aur kuch bhook baaqi rehney par chor dena chahiye.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 29

Munasib hai k jab jama (sex) ka irada ho to raat k aakhri hisey ko karey k is se jisam ki bhi islaah hoti hai aur aulaad paida honey ki ziada umeed hai aur jo aulaad Khuda ko deni manzoor hai wo aqeel bhi hogi. Awal shab jama krne se qolanj, faalij, laqwa aur pathri paida honey ka qawi andesha hai.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 32

Jis shaks ko nahaney mein dard e sar hota hai wo nahaney se pehley 5 ghoont garam paani k pi ley to inshallah dard e sar nahi hoga.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 32

Jo shaks khaalis shehed ko soonghey ga usey pyaas forun maaloom hogi. Agar soonghney se shidat ki garmi maloom ho to wo qisam zehr e Qaatil hai.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 41

Quran parhney, shehed khaaney aur doodh peeney sey se haafiza (memory) barhta hai.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 44

Injeer khana dard e qolanj (collic) men buhat mufeed hai. Is se mun ki gandagi jaati rehti hai, ganjey badan par baal paida ho jaatey hen, tarah tarah k dard jaatey rehtey hen aur hadiyan (bones) mazbut ho jaati hen.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 45

Paichish (loose motion) k liay Akhrot bhoon kar cheel kar khao.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 45

4 cheezein dil ko sakoon deti hen

1.Shehed khana

2.Khushboo lagana

3.Sawari karna

4.Sabza (greenery) dekhna

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 45

Khana thanda karkey aur pyaley k kinarey se khana chahiye.

Tib e imam Ali Raza AS

Pg 46

No comments:

Post a Comment